Musalman 12 Rabbi ul awal ko sogh kyun nahi manatay


Sawal: musalman 12 Rabbi ul awal ko sogh kyun nahi manatay?

Answer: Pehli baat tau yeh ke 12 Rabbi ul awal ka yaoum e wisaal hona kisi bhi authentic book main nahi hai. Farz kiya agar maan bhi liya jaye tau phir bhi sogh nahi mana saktay jaisa ke shiya 10 muharram ko kartay hain kyunke:

Huzoor sallal laho alayhi wasallam ne 3 din se zyada sogh manane se mana farmaya hai, siway us aurat ke jiska shohar inteqal kar gaya ho (isi liye iddat ki muddat us aurat ke liye 4 maah 10 din hai - pata chala har saal shog nahi manana hai.)
[Bukhari Sharif, Jild 2, Page No. 804] [Mishkat Sharif, Jild 1, Page No. 486] .
Juma ka din mo’amino ke liye Eid hai, AAP farmate hai ki kyunki isi din Insano ke Baap Aadam Alaihissalam ko paida kiya aur isi din unhe maut aayi. (pata chala ki isi din maut aane par bhi juma ka din Eid hi raha) .
[Sunan Ibne Majah, Jild 2, Page No. 8, Hadith No. 1084]

Jo log kehtay hain saal main sirf 2 eidain hoti hain who zara is hadees ko phir se parhain aur dekhain ke saal main 52 eidain tau sirf jummah ki ban jati hain! Magar phir bhi arz hai ke eid ka matlab khushi ka din hai. Is liye musalman isko Eid kehtay hain.

Quraan se saboot:
.
Aey Mehboob Tum kehdo ki Allah hi ke FAZL aur Allah hi ki REHMAT par khushiyaa manaaein. Or ye unke MAAL jamaa karne se behtar hai.
{Surah Yunus: 58}.
Ab Allah Azzawajal farma raha hai ke jab uski rehmat hasil ho tau khushyan manain, kya Nabi e Kareem sallal laho alayhi wasallam se barh kar bho koi rehmat hai ke jinhain do jahan ke liye rahmat bana kar bheja gaya hai.

Allah Az’zawajal farmata hai.......
"Aey Mehboob Hum ne aapko na bheja, magar SAARE AALAM ke liye REHMAT banaa kar"
{Surah Ambiya:107}
.
Tarjuma :
ALLAH T'AALA ki neimato par khush ho agar tum sirf uski ibadat karte ho
( Al nahal 123).

Tarjuma
Apne rab ki neimat bayan karo
(duhaa 11)
.
Tarjuma:
Unko ALLAH T'AALA ke din yaad dilao.
(Ibrahim 125).

Hadees se saboot:
Hafiz jalaluddin suyuti alaihirrehma apni kitab tanveer mai farmate hai:
Hazrat ibne abbas se riwayat hai ki woh apne ghar mai HUZUR SALALLAHO ALAIHI WASSALLAM ki wiladat ke waqiat bayan kar rahe the aur kaum wiladat ke bayan par khush ho rahe thi aur tareef kar rahe thi achanak wahan HUZUR SALALLAHO ALAIHI WASSALLAM tashrif laye aap ne farmaya tumhari shafaat mujh par wajib ho gayi....
.
Aur ek hadees Tanveer mai hai ki Hazrat abu darda radiALLAHU anha se riwayat hai ki mai HUZUR SALALLAHO ALAIHI WASSALLAM ke saath aamir ansari ke yahan gaya who apne gharwalo ko HUZUR SALALLAHO ALAIHI WASSALLAM ki paidaish ke waqiaat sikha rahe the, Aap ne kaha yeh din HUZUR SALALLAHO ALAIHI WASSALLAM ki wiladat ka hai ! HUZUR SALALLAHO ALAIHI WASSALLAM ne farmaya “khuda ne tere upar rehmat ke darwazay khol diye aur farishte tere liye istagfaar karte hai...
Close Menu